ग़ज़ल - 6 (ज़ुल्म को अपनी क़िस्मत माने)

ज़ुल्म को अपनी क़िस्मत माने, दहशत को यलग़ार कहे
अपने हक़ से भी ग़ाफ़िल हो, कौन उसे बेदार कहे
ZULM KO APNI QISMAT MAANE DAHSHAT KO YALGHAAR KAHE
APNE HAQ SE BHI GHAAFIL HO KAUN USE BEDAAR KAHE

ज़ख़्मों को बेक़ीमत समझे, अश्कों को ऐयार कहे
ऐसे बेपरवा से अपने दिल की जलन बेकार कहे
ZAKHMON KO BEQEEMAT SAMJHE ASHKON KO AIYYAR KAHE
AISE BEPARWAAH SE APNE DIL KI JALAN BEKAAR KAHE

अपना अपना ज़ौक़-ए-नज़र है, अपनी अपनी फ़ितरत है
मैं इज़हार-ए-हाल करूँ तो तू उसको तक़रार कहे
APNA APNA ZAUQ E NAZAR HAI APNI APNI FITRAT HAI
MAIN IZHAAR E HAAL KARUN TO TU US KO TAQRAAR KAHE

सीख गया है जीने के अंदाज़ जहान-ए-हसरत में
हर इक बात इशारों में अब तो ये दिल-ए-हुशियार कहे
SEEKH GAYA HAI JEENE KE ANDAAZ JAHAAN E HASRAT MEN
HAR IK BAAT ISHAARON MEN AB TO YE DIL E HUSHIYAAR KAHE

जाने दो मुमताज़ मैं क्या हूँ, पागल हूँ, सौदाई हूँ
मैं झूठी, मेरी बातें झूठी, मानो जो अग़यार कहे
JAANE DO 'MUMTAZ', MAIN KYA HOON, PAAGAL HOON SAUDAAI HOON

MAIN JHOOTI MERI BAATEN JHOOTI, MAANO JO AGHYAAR KAHE

Comments

  1. Mumtaz aap kee gazal naayaab hai. Twitter par iska sirf makta tha aur maine usee ke base par apne chand ash-aar likh daale hain. padh daalna, batana kaise hain. par kya tumhara mukabla kar sakenge? naheen.

    ReplyDelete
  2. मुमताज जी आप हिन्दी में क्यों नहीं टाइप करतीं हैं |गज़ल हिन्दी या उर्दू में ही अच्छी लगती है |

    ReplyDelete
  3. MASHALLAH AIK AUR GHAZAL JO DIL SE LIKHI HAI...

    ReplyDelete
  4. Prem ji main kahan padh sakti hoon aap ki ghazal?

    ReplyDelete
  5. Jaikrishn, meri ghazlen pakistan men bhi padhi jaati hain, ab ya to main ise hindi aur urdu, donon zabanon men type karun, ya roman men likh doon, aur yahan cut aur paste ka option bhi kaam nahin karta, koi tareeqa ho, to bataaiyega

    ReplyDelete
  6. Shukriya Nadeem Sahab, zarra nawaazi hai aap ki

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

ज़ालिम के दिल को भी शाद नहीं करते