Posts

Showing posts from March 19, 2011

ग़ज़ल - हम भी पुराने दौर के आसार हो गए

एहसास के खंडर सभी मिस्मार हो गए हम भी पुराने दौर के आसार हो गए EHSAAS KE KHANDAR SABHI MISMAAR HO GAEY HAM BHI PURAANE DAUR KE AASAR HO GAEY हम से हमारा आप भी ख़ुद अजनबी हुआ ज़ाहिर जो हम पे इश्क़ के असरार हो गए HAM SE HAMAARA AAP BHI KHUD AJNABEE HUA ZAHIR JO HAM PE ISHQ KE ASRAAR HO GAEY राहत ये जाने कैसी थी , कैसा सुकून था आराम इस क़दर था कि बीमार हो गए RAAHAT YE JAANE KAISI THI KAISA SUKOON THA AARAM IS QADAR THA KE BEEMAAR HO GAEY इक हादसे ने ख़्वाब-ए-फ़ुसूँ तोड़ दिया फिर फिर ज़िन्दगी की फिक्र से दो-चार हो गए IK HAADSE NE KHWAAB E FUSOON TOD DIYA PHIR PHIR ZINDAGI KI FIKR SE DO CHAAR HO GAEY दहशत , गुनाह , मक्र , दग़ा , ज़ुल्म , वहशतें घबरा के इस ज़माने से अबरार हो गए DEHSHAT GUNAAH MAKR O DAGHAA ZULM WAHSHATEN GHABRA KE IS ZAMAANE SE ABRAAR HO GAEY करवट ज़मीं की बस्ती की बस्ती निगल गई कल घर थे , आज मलबे का अंबार हो गए KARWAT ZAMEEN KI BASTI KI BASTI NIGAL GAI KAL GHAR THE AAJ MALBE KA AMBAAR HO GAEY “ मुमताज़ ” ये ज़मा