Posts

Showing posts from July 26, 2011

GHAZAL-24HAM NE APNE BAAM O DAR IS LIYE SAJAAEY HAIN

Meri behen Rashmi Badshah ne mujhe ye misra diya, "justju pehen kar ham jab bhi ghar tak aaey hain", aur is par ghazal kehne ka israar kiya, mulaahiza farmaaiye HAM NE APNE BAAM O DAR IS LIYE SAJAAEY HAIN RAUNAQON KE DAAMAN MEN SAARE GHAM CHHUPAAEY HAIN HAUSLE MUQADDAR KE KHOOB AAZMAAEY HAIN CHUPKE CHUPKE KUCHH LAMHE WAQT SE CHURAAEY HAIN BEREHEM HAQEEQAT NE JAB BHI APNE PAR TOLE ZEHN KI ZAMEE.N PAR KUCHH KHWAAB JHILMILAAEY HAIN KOI SHAR KOI SAAZISH HAM SE BACH NAHIN SAKTI WAQT KI RAWISH PAR BHI HAM NAZAR JAMAAEY HAIN IN MEN KAL HQEEQAT KE PHAL ZAROOR AAEYNGE AAJ HAM NE KHWAABON KE PED JO LAGAAEY HAIN AANE WALI NASLON KI REHNUMAAI KI KHAATIR RAASTON PE KUCHH HAM NE NAQSH BHI BANAAEY HAIN MAZMARAAT E HASTI SE YE KASHISH MILI HAM KO JAANE KITNE AFSAANE DIL MEN HAM DABAAEY HAIN KAUN SI QAYAAMAT YE AAJ IN PE TOOTI HAI HASRATEN YE KYUN SAR PE AASMAA.N UTHAAEY HAIN YE NAHIN KE KHUSHIYAAN HI JASHN YE MANAATI HON JAB BAHAAR AAI