ग़ज़ल - इस दर्द की शिद्दत से गुज़र क्यूँ नहीं जाते

इस दर्द की शिद्दत से गुज़र क्यूँ नहीं जाते
बरहक़ है अगर मौत तो मर क्यूँ नहीं जाते
AB DARD KI SHIDDAT SE GUZAR KYUN NAHIN JAATE
BAR HAQ HAI AGAR MAUT TO MAR KYUN NAHIN JAATE

कब तक मैं संभालूँ ये मेरी ज़ात के टुकड़े
रेज़े ये हर इक सिम्त बिखर क्यूँ नहीं जाते
KAB TAK MAIN SAMBHALOON YE MERI ZAAT KE TUKDE
REZE YE HAR IK SIMT BIKHAR KYUN NAHIN JAATE

क़ातिल भी, गुनहगार भी, मुजरिम भी हमीं क्यूँ
इल्ज़ाम किसी और के सर क्यूँ नहीं जाते
QAATIL BHI GUNAHGAAR BHI MUJRIM BHI HAMEEN KYUN
ILZAAM KISI AUR KE SAR KYUN NAHIN JAATE

डरते हो तो अब तर्क-ए-इरादा भी तो कर लो
हिम्मत है तो उस पार उतर क्यूँ नहीं जाते
DARTE HO TO AB TARK E IRAADA BHI TO KAR DO
HIMMAT HAI TO US PAAR UTAR KYUN NAHIN JAATE

अब दर्द की शिद्दत भी मेरा इम्तेहाँ क्यूँ ले
अब ज़ख़्म ये हालात के भर क्यूँ नहीं जाते
AB DARD KI SHIDDAT BHI MERA IMTEHAAN KYUN LE
AB ZAKHM YE HAALAT KE BHAR KYUN NAHIN JAATE

ये सर्द तमन्नाएँ कहीं जान न ले लें
एहसास के शोलों से गुज़र क्यूँ नहीं जाते
YE SARD TAMANNAEN KAHIN JAAN NA LE LEN
EHSAAS KE SHOLON SE GUZAR KYUN NAHIN JAATE

दिल फिर से मेरा उसका तमन्नाई हुआ है
ये ज़ख़्म फिर इक बार उभर क्यूँ नहीं जाते
DIL PHIR SE MERA US KA TAMANNAI HUA HAI
YE ZAKHM PHIR IK BAAR UBHAR KYUN NAHIN JAATE

अब तर्क-ए-तअल्लुक़ ही मदावा है ग़मों का
एहसान ये मुमताज़ पे कर क्यूँ नहीं जाते
AB TARK E TA'ALLUQ HI MADAAVA HAI GHAMON KA

EHSAN YE 'MUMTAZ' PE KAR KYUN NAHIN JAATE

शिद्दत - तेज़ी, बरहक़ - तय, ज़ात -हस्ती, रेजे - टुकड़े, तर्क - छोड़ देना 

Comments

  1. nice one je bhut hi achi ghazal hai aapki ye be har dafa ki tare ...............

    ReplyDelete
  2. Ghazal aur ghazal ki peshkash dono ne litf aur badha diya.Har sher bar bar padhne ka hai khaas taur se 'Ye sard tamannaen kahin jaan na le len, Ehsaas ke sholon se guzar kyu nahi jaate. Isi zameen par Ameer Agha kazalbash sahab ki ghazal ka do sher samaad farmaiye: Jab doob hi jaane ka yaqeen hai to na jaane, Ye log safeenon se utar kyuon nahin jate. Rokegi daraqton ki ghani chaaon sare raah, Awaaz ye aayegi thahr kyon nahin jate.

    ReplyDelete
  3. Mumtaz mujhe gazlon ka lutf lene ka ek aur zariya mil gaya. Wo hai aap ka yeh blog Parwaz. Sachmuch aap nayaab likhtee hain. Mumbai main aata rahta hoon. Ummed hai ki waqt de kar kuchh gazlein khud hee sunaogee.

    ReplyDelete
  4. Thanks Mumtaz, ye ghazal main ne ek tarahi mushaire ke liye Habib Jalib ke misre par likhi thi, tazmeen thi,"ye log bhi kya log hain mar kyun nahin jaate", lekin chunke tazmeen main ne matlae men use kar li thi, is liye baad men use badal diya

    ReplyDelete
  5. Ji zaroor Prem ji, jab aana ho, bata dijiyega, main pata bata doongi aap ko

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

ज़ालिम के दिल को भी शाद नहीं करते

लुट रही है वक़्त के हाथों मता ए ज़िन्दगी