यूँ ही थका न मेरी ज़िन्दगी गुज़र के मुझे


यूँ ही थका न मेरी ज़िन्दगी गुज़र के मुझे
उतारने हैं अभी क़र्ज़ उम्र भर के मुझे

मुझे बलंद उड़ानों से खौफ़ आने लगा
फ़रेब याद रहे अपने बाल-ओ-पर के मुझे

मिटा के बारहा तामीर मुझ को करता रहा
वजूद देता रहा ज़िन्दगी बिखर के मुझे

ख़फ़ा हूँ अब तो मनाने के वास्ते कब से
पुकारती है मेरी ज़िन्दगी संवर के मुझे

नुक़ूश छोडती जाती हैं रेशमी यादें
गुज़रता जाता है हर पल उदास कर के मुझे

मैं मस्लेहत के हिसारों में क़ैद हूँ कब से
जूनून छोड़ गया मेरे पर कतर के मुझे

मुझे पलटने न देगी मेरी अना लेकिन
"बुला रहा है कोई बाम से उतर के मुझे"

हयात नाम है पैहम जेहाद का यारो
सुकून आएगा "मुमताज़" अब तो मर के मुझे

yuN hi thaka na meri zindagi guzar ke mujhe
utaarne haiN abhi qarz umr bhar ke mujhe

mujhe baland udaanoN se khauf aane laga
fareb yaad rahe apne baal-o-par ke mujhe

mita ke barahaa taamir mujh ko karta raha
wajood deta raha zindagi bikhar ke mujhe

khafaa hooN ab to manaane ke waaste kab se
pukaarti hai meri zindagi sanwar ke mujhe

nuqoosh chhodti jaati haiN reshmi yaadeN
guzarta jaata hai har pal udaas kar ke mujhe

maiN maslehat ke hisaaroN meN qaid hooN kab se
junoon chhod gaya mere par katar ke mujhe

mujhe palatne na degi meri anaa lekin
"bula raha hai koi baam se utar ke mujhe"

hayaat naam hai paiham jehaad ka yaaro
sukoon aaega "Mumtaz" ab to mar ke mujhe

Comments

Popular posts from this blog

ज़ालिम के दिल को भी शाद नहीं करते