वो हमसफ़र, मेरे हमराह जो चला भी नहीं
वो हमसफ़र,
मेरे हमराह जो चला भी नहीं
रहा भी साथ हमेशा,
कभी मिला भी नहीं
तमाम उम्र गुजरने को तो गुज़र भी गई
प् बेक़रार सा वो पल कभी टला भी नहीं
हुआ है दिल प् जो तारी ये बेहिसी का ख़ुमार
सुकून ए दिल भी नहीं है, कोई ख़ला भी नहीं
सद आफ़रीन ये ईज़ा परस्तियाँ दिल की
कि ज़िन्दगी से मुझे अब कोई गिला भी नहीं
चलें जो हम तो ज़माना भी साथ साथ चले
हमारे साथ मगर कोई क़ाफ़िला भी नहीं
हमारे दर्द से उस को बला की रग़बत थी
तो ज़ख्म दिल का कभी हम ने फिर सिला भी नहीं
रहा है यूँ तो हर इक ज़ाविया अयाँ, लेकिन
ये राज़ ज़ात का हम पर कभी खुला भी नहीं
ये और बात कि जीना भी फ़र्ज़ है, लेकिन
हयात करने का "मुमताज़" हौसला भी नहीं
wo hamsafar, mere
hamraah jo chalaa bhi nahiN
raha bhi saath
hamesha, kabhi milaa bhi nahiN
tamaam umr guzarne ko
to guzar hi gai
pa beqaraar sa wo pal
kabhi talaa bhi nahiN
hua hai dil pa jo
taari ye behisi ka khumaar
sukoon e dil bhi
nahiN hai, koi khalaa bhi nahiN
sad aafreen ye eezaa
parastiyaaN dil ki
ke zindagi se mujhe
ab koi gilaa bhi nahiN
chaleN jo ham to
zamaana bhi saath saath chale
hamaare saath magar
koi qaafilaa bhi nahiN
hamaare dard se us ko
balaa ki raghbat thi
to zakhm dil ka kabhi
ham ne phir silaa bhi nahiN
rahaa hai yuN to har
ik zaaviyaa ayaaN, lekin
ye raaz zaat ka ham
par kabhi khulaa bhi nahiN
ye aur baat, ke jeena
bhi farz hai, lekin
hayaat karne ka
"Mumtaz" hausla bhi nahiN
Comments
Post a Comment