आदमीयत का क़त्ल


जब भी माँ की कोख में होता है दूजी माँ का ख़ूँ
आदमीअत काँप उठती है,  लरज़ता है सुकूँ
आज जब देखा तो दिल के टुकड़े टुकड़े कर गए
ये अजन्मे जिस्म ख़ाक-ओ-खून में लिथड़े हुए

काँप उठता है जिगर इंसान के अंजाम पर
आदमीअत की हैं लाशें बेटियों के नाम पर
मारते हैं माओं को, बदकार हैं, शैतान हैं
कौन वो बदबख़्त हैं, इन्सां हैं या हैवान हैं

देख कर ये हादसा, बेचैन हूँ, रंजूर हूँ
और फिर ये सोचने के वास्ते मजबूर हूँ
कोख में ही क़त्ल का ये हुक्म किस ने दे दिया
जो अभी जन्मी नहीं थी, जुर्म क्या उस ने किया

मर्द की ख़ातिर सदा क़ुरबानियाँ देती रही
आदमी की माँ है वो, क्या जुर्म है उस का यही?
मामता की, प्यार की, इख़लास की मूरत है वो
क्यूँ उसे तुम क़त्ल करते हो, कोई आफ़त है वो?

हर सितम सह कर भी अब तक करती आई है वफ़ा
जब से आई है ज़मीं पर क्या नहीं उस ने सहा
जब वो छोटी थी तो उस को भाई की जूठन मिली
खिल न पाई जो कभी, है एक ये ऐसी कली

उस को पैदा करने का एहसाँ अगर उस पर किया
इस के बदले ज़िन्दगी का हक़ भी उस से ले लिया
बिक गई कोठों पे, आतिश का निवाला बन गई
इज़्ज़त-ओ-ग़ैरत, कभी लालच का लुक़मा बन गई

ये अज़ल से जाने कितने दर्द सहती आई है
फिर भी बदकिस्मत, अभागन, बेहया कहलाई है
इतने दुःख दे कर भी तुमने इक ख़ुशी उस को न दी
और अब तो तुम ने उस की ज़िन्दगी भी छीन ली

ऐ गुनहगारान-ए-मादर, दुश्मन-ए-इंसानियत
ऐ इरम के क़ातिलो, ऐ पैकर-ए-शैतानियत
जिस को बेटी जान कर तुम क़त्ल यूँ करते रहे
ये नहीं सोचा, कि जो बेटी है, वो इक माँ भी है?
आदमी के वास्ते फिर माँ कहाँ से लाओगे
मार दोगे माँओं को तो तुम कहाँ से आओगे



jab bhi maaN ki kokh meN hota hai dooji maaN ka khooN
aadmeeat kaanp uthti hai larazta hai sukooN
aaj jab dekha to dil ke tukde tukde kar gaye
ye ajanme jism khaak o khoon meN lithde hue
kaanp uthta hai jigar insaan ke anjaam par
aadmeeat ki haiN laasheN betiyoN ke naam par
maarte haiN maaoN ko, badkaar haiN, shaitaan haiN
kaun wo badbakht haiN, insaaN haiN ya haiwaan haiN
dekh kar ye haadsa bechain hooN, ranjoor hooN
aur phir ye sochne ke waaste majboor hooN
kokh meN hi qatl ka ye hukm kis ne de diya
jo abhi janmi nahiN thi, jurm kya us ne kiya
mard ki khaatir sada qurbaaniyaaN deti rahi
aadmi ki maaN hai wo, kya jurm hai us ka yahi?
kyuN use tum qatl karte ho, koi aafat hai wo?
maamta ki, pyaar ki, ikhlaas ki moorat hai wo
har sitam sah kar bhi ab tak karti aai hai wafaa
jab se aai hai zameeN par kya nahiN us ne sahaa
khil na paai jo kabhi, hai ek ye aisi kali
jab wo chhoti thi to us ko bhaai ki joothan mili
us ko paida karne ka ehsaaN agar us par kiya
is ke badle zindagi ka haq bhi us se le liya
bik gai kothoN pe aatish ka niwaala ban gai
izzat o ghairat kabhi laalach ka luqmaa ban gai
ye azal se jaane kitne dard sahti aai hai
phir bhi badqismat, abhaagan, behayaa kahlaai hai
itne dukh de kar bhi tum ne ik khushi us ko na di
aur ab to tum ne us ki zindagi bhi chheen li

aye gunahgaaraan e maadar, dushman e insaaniyat
aye iram ke qaatilo, aye paikar e shaitaaniyat
jis ko beti jaan kar tum qatl yuN karte rahe
ye nahiN socha, ke jo beti hai, wo ik maaN bhi hai?
aadmi ke waaste phir maaN kahaN se laaoge
maar doge maaoN ko to tum kahaN se aaoge

Comments

Popular posts from this blog

ज़ालिम के दिल को भी शाद नहीं करते