GHAZAL-24HAM NE APNE BAAM O DAR IS LIYE SAJAAEY HAIN


Meri behen Rashmi Badshah ne mujhe ye misra diya, "justju pehen kar ham jab bhi ghar tak aaey hain", aur is par ghazal kehne ka israar kiya, mulaahiza farmaaiye



HAM NE APNE BAAM O DAR IS LIYE SAJAAEY HAIN

RAUNAQON KE DAAMAN MEN SAARE GHAM CHHUPAAEY HAIN



HAUSLE MUQADDAR KE KHOOB AAZMAAEY HAIN

CHUPKE CHUPKE KUCHH LAMHE WAQT SE CHURAAEY HAIN



BEREHEM HAQEEQAT NE JAB BHI APNE PAR TOLE

ZEHN KI ZAMEE.N PAR KUCHH KHWAAB JHILMILAAEY HAIN



KOI SHAR KOI SAAZISH HAM SE BACH NAHIN SAKTI

WAQT KI RAWISH PAR BHI HAM NAZAR JAMAAEY HAIN



IN MEN KAL HQEEQAT KE PHAL ZAROOR AAEYNGE

AAJ HAM NE KHWAABON KE PED JO LAGAAEY HAIN



AANE WALI NASLON KI REHNUMAAI KI KHAATIR

RAASTON PE KUCHH HAM NE NAQSH BHI BANAAEY HAIN



MAZMARAAT E HASTI SE YE KASHISH MILI HAM KO

JAANE KITNE AFSAANE DIL MEN HAM DABAAEY HAIN



KAUN SI QAYAAMAT YE AAJ IN PE TOOTI HAI

HASRATEN YE KYUN SAR PE AASMAA.N UTHAAEY HAIN



YE NAHIN KE KHUSHIYAAN HI JASHN YE MANAATI HON

JAB BAHAAR AAI HAI GHAM BHI MUSKRAAEY HAIN



SIRF APNA HAQ HI TO HAM NE BAS NAHIN CHHEENA

HAM NE APNE RISHTON KE QARZ BHI CHUKAAEY HAIN



JURM KUCHH NA KUCHH IS MEN HAI HAMAARA BHI SAAHAB

HAM NE JAAN KAR BHI TO KUCHH FAREB KHAAEY HAIN



GUFTGU MEN JUMLON SE KHEL HAM NAHIN KARTE

HAM PIRO KE LAFZON MEN INQILAAB LAAEY HAIN



KITNE KHWAAB MAAZI KE MIL KE RO PADE HAM SE

JUSTJU PEHEN KAR HAM JAB BHI GHAR TAK AAEY HAIN



RAAT KI KHAMOSHI MEN KITNA SHOR HAI "NAZA"

HAM HAIN AUR MAAZI KE JHILMILAATE SAAEY HAIN

Comments

Popular posts from this blog

ज़ालिम के दिल को भी शाद नहीं करते