GHAZAL-4

DIL KE SAB RAAZ ZAMANE PE AYAAN KAR JAAEN
KAM NA HO JAAE KHUSHI AAJ CHALO MAR JAAEN

DAR BA DAR HO KE BHI HAM KO KAHIN RAAHAT NA MILI
DIL TO YE KARTA HAI PHIR US KE HI DAR PAR JAAEN

APNI AAWARA MIZAAJI BHI CHALO HAAR GAI
WAHSHATEN KEHTI HAIN IK BAAR ZARA GHAR JAAEN

AB SAMBHAALENGE KAHAN DAULAT E BARBAADI E DIL
AB AGAR JAAEN TO IS SHEHR SE LUT KAR JAAEN

IS UJAALE SE TO BEENAAI BHI ZAKHMEE HO JAAE
HAM AGAR APNE ANDHERE SE JO BAAHAR JAAEN

CHHEDTE RAHTE HAIN HAM YAADON KE NASHTAR SE KE YE
ZAKHM KUCHH AUR KHILEN YE NA KAHIN BHAR JAAEN

JAB GUNAHGAAR HI AADIL HO TO PHIR KYA KAHIYE
SAARE ILZAAM SABHI JURM MERE SAR JAAEN

SAANS LENA BHI HUA JURM KE 'MUMTAZ' CHALO
MASLEHAT KA YE TAQAAZA HAI KE AB MAR JAAEN

Comments

Popular posts from this blog

ज़ालिम के दिल को भी शाद नहीं करते