Posts

ग़ज़ल - दिल की बातें यूँ भी समझो

Image
चेहरा पढ़ लो , लहजा देखो दिल की बातें यूँ भी समझो   CHEHRA PADH LO LEHJA DEKHO DIL KI BAATEN YUN BHI SAMJHO फिर खोलो यादों की परतें दिल के सारे ज़ख़्म कुरेदो PHIR KHOLO YAADON KI PARTEN DIL KE SAARE ZAKHM KUREDO अब कुछ दिन जीने दो मुझ को ऐ दिल की बेजान ख़राशो AB KUCHH DIN JEENE DO MUJH KO AEY DIL KI BEJAAN KHARAASHO रंजिश की लौ माँद हुई है फिर कोई इल्ज़ाम तराशो RANJISH KI LAU MAAND HUI HAI PHIR KOI ILZAAM TARAASHO सुलगा दो हस्ती का जंगल जलते हुए बेचैन उजालो SULGAA DO HASTI KA JUNGLE JALTE HUE BECHAIN UJAALO दर्द तुम्हारा भी देखूँगी दम तो लो ऐ पाँव के छालो DARD TUMHARA BHI DEKHUNGI DAM TO LO AYE PAANV KE CHHALO ख़त्म हुई हर एक बलन्दी ऐ मेरी बेबाक उड़ानो KHATM HUI HAR EK BALANDI AYE MERI BEBAAK UDAANO तंग दिलों की इस बस्ती में उल्फ़त की ख़ैरात न मांगो TANG DILON KI IS BASTI MEN ULFAT KI KHAIRAAT NA MAANGO मग़रूरीयत के पैकर पर मजबूरी के ज़ख़्म भी देखो MAGHROOREEAT KE PAIKAR PE MAJBOORI KE ZAKHM BHI DEKHO

नज़्म - तसव्वर

Image
तू कोई रंग है कि ख़ुश्बू है तू कोई ख़्वाब है कि साया है मेरी तनहाई के अँधेरों में जाने कितनी शोआएँ लाया है TU KOI RANG HAI KE KHUSHBOO HAI TU KOI KHWAAB HAI KE SAAYA HAI MERI TANHAAI KE ANDHERON MEN JAANE KITNI SHOAAEN LAAYA HAI मेरे बिखरे वजूद की किरचें फिर चमक उठ्ठीं कहकशाँ की तरह मेरे अंदर वही तलातुम है फिर किसी बहर-ए-बेकराँ की तरह MERE BIKHRE WAJOOD KI KIRCHEN PHIR CHAMAK UTTHIN KEHKASHAA.N KI TARAH MERE ANDER WAHI TALAATUM HAI PHIR KISI BEHR E BEKARAA.N KI TARAH फिर तमाज़त का वो ही आलम है दिल में फिर कोई आफ़ताब उठा जिस्म का रेज़ा रेज़ा जल उट्ठा रूह से फिर कोई शेहाब उठा   PHIR TAMAAZAT KA WO HI AALAM HAI DIL MEN PHIR KOI AAFTAAB UTHA JISM KA REZA REZA JAL UTTHA ROOH SE PHIR KOI SHEHAAB UTHA फिर हुई सुब्ह , फिर वो जाग उठी ज़िन्दगी ले रही है अंगड़ाई मेरी क़िस्मत के वीराँ ख़ाने में फिर से होती है बज़्म आराई PHIR HUI SUBH, PHIR WO JAAG UTHI ZINDAGI LE RAHI HAI ANGDAAI MERI QISMAT KE VEERAA.N KHAANE MEN PHIR SE HOTI HAI BAZM

ग़ज़ल - बरहना रक़्स करती है हवस वहशत की तानों पर

Image
बरहना रक़्स करती है हवस वहशत की तानों पर त ’ अस्सुब के खिलौने बिकते हैं दिल की दुकानों पर BARAHNA RAQS KARTI HAI HAWAS WAHSHAT KI TAANON PAR TA'ASSUB KE KHILAUNE BIKTE HAIN DIL KI DUKAANON PAR परिंदों को ख़बर क्या , जाल है गंदुम के दानों पर शिकारी ने चढ़ा रक्खे हैं तीर अपनी कमानों पर PARINDON KO KHABAR KYA JAAL HAI GANDUM KE DAANON PAR SHIKAARI NE CHADHAA RAKKHE HAIN TEER APNI KAMAANON PAR सभी मशकूक हैं , सबके दिलों पर ख़ौफ़ तारी है अजब सा बोझ इक रक्खा है इन्सानों की जानों पर SABHI MASHKOOK HAIN SAB KE DILON PAR KHAUF TAARI HAI AJAB SA BOJH YE RAKKHA HAI INSAANON KI JAANON PAR किसी की नर्मगोई को कोई समझे न कमज़ोरी बनाता है निशाँ पानी जो गिरता है चट्टानों पर KISI KI NARMGOEE KO KOI SAMJHE NA KAMZORI BANAATA HAI NISHAAn PAANI JO GIRTA HAI CHATTANON PAR कहाँ से हम कहाँ तक आ गए पैंसठ ही बरसों में सदी का बोझ है अब हाल के बोसीदा शानों पर KAHAN SE HAM KAHAN TAK AA GAE PAINSATH HI BARSON MEN SADI KA BOJH HAI AB HAAL KE BOSEEDA SHAANON PAR

ग़ज़ल - हौसले का ले के तेशा बेबसी पर वार कर

Image
हौसले का ले के तेशा बेबसी पर वार कर अपनी हर मंज़िल की ख़ातिर रास्ता हमवार कर HAUSLE KA LE KE TESHA BEBASI PAR WAAR KAR APNI HAR MANZIL KI KHAATIR RAASTA HAMWAAR KAR खो के बहर-ए-मौजज़न में ख़ुद भी हो जा बेकराँ जीत ले उल्फ़त की बाज़ी तू ख़ुदी को हार कर KHO KE BEHR E MAUJZAN MEN KHUD BHI HO JA BEKARAAn JEET LE ULFAT KI BAAZI TU KHUDI KO HAAR KAR है तक़ाज़ा वक़्त का उट्ठे नया इक इन्क़लाब तू ज़मीर-ए-ख़्वाबज़न को आज तो बेदार कर HAI TAQAAZA WAQT KA UTTHE NAYA IK INQELAAB TU ZAMEER E KHWAABZAN KO AAJ TO BEDAAR KAR मजमा-ए-अग़यार में खोया रहेगा कब तलक मुन्फ़रिद है तू तो फिर अपना जुदा मे ’ यार कर MAJMA E AGHYAAR MEN KHOYA RAHEGA KAB TALAK MUNFARID HAI TU TO PHIR APNA JUDAA ME'YAAR KAR तार है दामन भी तेरा , खो दिया पिनदार भी क्या तुझे हासिल हुआ अपनी अना को मार कर TAAR HAI DAAMAN BHI TERA, KHO DIYA PINDAAR BHI KYA TUJHE HAASIL HUA APNI ANAA KO MAAR KAR ज़ुल्म के रेग-ए-रवाँ में नूर की बारिश भी ला है मोहब्बत इक ख़ता तो ये ख़ता हर बार कर ZULM KE REG E RAWAAN MEN NOOR KI BAARISH BHI LAA

ग़ज़ल - आ गया अब रास मुझ को राह का हर पेच-ओ-ख़म

Image
आ गया अब रास मुझ को राह का हर पेच-ओ-ख़म ले चले हैं साथ मुझ को राह के ये ज़ेर-ओ-बम   AA GAYA AB RAAS MUJH KO RAAH KA HAR PECH O KHAM LE CHALE HAIN SAATH MUJH KO WAQT KE YE ZER O BAM पेट में रोटी हो तो इंसाँ रहे साबित क़दम डोल ही जाता है ईमाँ जल रहा हो जब शिकम PET MEN ROTI HO TO INSAAn RAHE SAABIT QADAM DOL HI JATA HAI EEMAAn JAL RAHA HO JAB SHIKAM पढ़ ही लेती हूँ मैं उसके ज़ेहन का इक इक सतर वास्ते इसके नहीं दरकार दिल को जाम-ए-जम PADH HI LETI HOON MAIN US KE ZEHN KI IK IK SATAR WASTE IS KE NAHIN DARKAAR DIL KO JAAM E JAM इम्तियाज़-ए-बातिल-ओ-हक़ है ख़िरद वालों का काम हम से दीवाने के आगे क्या शिवाला , क्या हरम IMTIYAAZ E BAATIL O HAQ HAI KHIRAD WAALON KA KAAM HAM SE DEEWAANE KE AAGE KYA SHIWAALA KYA HARAM हर तरफ़ आतिश , तबाही , ख़ून , नफ़रत , साज़िशें किस सियाही से किया है ये वरक़ तूने रक़म HAR TARAF AATISH SIYAAHI KHOON NAFRAT SAAZISHEN KIS SIYAAHI SE KIYA HAI YE WARAQ TU NE RAQAM क्यूँ ये दिल धड़के , रगों में ख़ून क्यूँ गर्दिश करे ज़िन्दगी क

ग़ज़ल - मुक़द्दर आज़माना चाहती हूँ

Image
मुक़द्दर आज़माना चाहती हूँ तुम्हें तुमसे चुराना चाहती हूँ MUQADDAR AAZMAANA CHAAHTI HOON TUMHEN TUM SE CHURAANA CHAAHTI HOON ज़रा यादों मुझे तन्हा भी छोड़ो मैं दो पल मुसकराना चाहती हूँ ZARA YAADO MUJHE TANHA BHI CHHODO MAIN DO PAL MUSKRAANA CHAAHTI HOON ये गर्दिश ही निभा पाई न मुझ से मैं इससे भी निभाना चाहती हूँ YE GARDISH HI NIBHA PAAI NA MUJH SE MAIN IS SE BHI NIBHAANA CHAAHTI HOON ये दौलत ज़िन्दगी की रायगाँ है इसे मैं अब लुटाना चाहती हूँ YE DAULAT ZINDAGI KI RAAYGAA.N HAI MAIN AB IS KO LUTAANA CHAAHTI HOON तराशे जाती है क़िस्मत मुझे और मैं वो पैकर पुराना चाहती हूँ TARAASHE JAATI HAI QISMAT MUJHE AUR MAIN WO PAIKAR PURAANA CHAAHTI HOON बसा है काबा-ए-दिल में जो अब भी वो बुत मैं अब गिराना चाहती हूँ BASA HAI KAABA E DIL MEN JO AB BHI WO BUT MAIN AB GIRAANA CHAAHTI HOON ज़रा कुछ ख़्वाब तो तामीर कर लूँ मैं इक बस्ती बसाना चाहती हूँ ZARA KUCHH KHWAAB TO TAAMIR KAR LOON MAIN IK BASTI BASAANA CHAAHT

GHAZAL-24HAM NE APNE BAAM O DAR IS LIYE SAJAAEY HAIN

Meri behen Rashmi Badshah ne mujhe ye misra diya, "justju pehen kar ham jab bhi ghar tak aaey hain", aur is par ghazal kehne ka israar kiya, mulaahiza farmaaiye HAM NE APNE BAAM O DAR IS LIYE SAJAAEY HAIN RAUNAQON KE DAAMAN MEN SAARE GHAM CHHUPAAEY HAIN HAUSLE MUQADDAR KE KHOOB AAZMAAEY HAIN CHUPKE CHUPKE KUCHH LAMHE WAQT SE CHURAAEY HAIN BEREHEM HAQEEQAT NE JAB BHI APNE PAR TOLE ZEHN KI ZAMEE.N PAR KUCHH KHWAAB JHILMILAAEY HAIN KOI SHAR KOI SAAZISH HAM SE BACH NAHIN SAKTI WAQT KI RAWISH PAR BHI HAM NAZAR JAMAAEY HAIN IN MEN KAL HQEEQAT KE PHAL ZAROOR AAEYNGE AAJ HAM NE KHWAABON KE PED JO LAGAAEY HAIN AANE WALI NASLON KI REHNUMAAI KI KHAATIR RAASTON PE KUCHH HAM NE NAQSH BHI BANAAEY HAIN MAZMARAAT E HASTI SE YE KASHISH MILI HAM KO JAANE KITNE AFSAANE DIL MEN HAM DABAAEY HAIN KAUN SI QAYAAMAT YE AAJ IN PE TOOTI HAI HASRATEN YE KYUN SAR PE AASMAA.N UTHAAEY HAIN YE NAHIN KE KHUSHIYAAN HI JASHN YE MANAATI HON JAB BAHAAR AAI